Jab Virus Ne Duniya Khatam Kar Di… To Indono Ne Kaise Abaadi Badai
Image Credit: © Fandango / Rai Cinema – The Last Man on Earth (L’ultimo terrestre)
The Last Man on Earth – Movie Story
Ek jaanleva virus poori duniya mein fail chuka hota hai, jiske chalte sabhi log mar chuke hote hain. Is tabahi ke baad sirf ek aadmi zinda bachta hai. Wo itna akela mehsoos karta hai ki shopping mall mein rakhe putlon se baatein karta hai, unhe chumta hai aur unhe apni girlfriend ki tarah treat karta hai.
Akelapan bhulane ke liye wo beer shop tod kar beer peeta hai, grocery mall mein jo mann chahe khata hai aur kabhi-kabhi wahi pada reh jaata hai. Wo har din apna ghar badalta rehta hai.
Ek din use ek shandaar rihashi bungalow pasand aa jaata hai aur wo use apna ghar bana leta hai. Wahan wo khoob sharab peeta hai. Bungalow mein maujood swimming pool ka istemaal wo nahane ke liye nahi, balki toilet ke liye karta hai.
Poore shehar mein jo bhi car milti, wo use uthata, thok deta, kabhi jala deta. Kyunki prithvi par ab koi aur zinda nahi bacha hota.
Ek din use ek tent mein rehti hui ek ladki dikhti hai. Dono hi akela hote hain. Ladki ko lagta hai ki ye aadmi uske saath zabardasti kar sakta hai, isliye wo bandook nikaal leti hai.
Lekin aadmi kehta hai ki use zabardasti koi rishta nahi chahiye. Wo yeh bhi keh deta hai ki chahe wo duniya ki aakhri ladki hi kyun na ho, wo uske saath zabardasti nahi karega. Yeh kehkar wo wahan se chala jaata hai.
Agle din wahi ladki uske bungalow mein aa jaati hai. Aadmi use wahan se jaane ko kehta hai, lekin ladki batati hai ki poori duniya mein sirf wahi dono bache hain. Ab unhi ko bachche paida karke abaadi badhani hogi.
Aadmi pehle mana karta hai, lekin ladki ke pyaar aur zidd ke aage wo dheere-dheere maan jaata hai. Jab wo jismani rishta banane ke liye aage badhta hai, tab ladki mana kar deti hai aur kehti hai ki pehle shaadi hogi, phir suhagraat.
Aadmi mann maar kar usse shaadi kar leta hai. Lekin agle hi din unhe ek aur zinda ladki milti hai, jo pehli ladki se zyada khoobsurat hoti hai.
Aadmi pachtata hai aur kehta hai ki kaash ye ladki use pehle mili hoti. Isi beech uski biwi wahan aa jaati hai aur batati hai ki wo dono shaadi-shuda hain.
Is baat se aadmi ka dimaag kharab ho jaata hai. Wo chupke-chupke us khoobsurat ladki se milne lagta hai. Ek din jab dono kareeb aane wale hote hain, ladki kehti hai ki pehle apni biwi ko talaaq dekar aao.
Jab aadmi ghar jaakar apni biwi ko shaadi ki ring wapas dene ka sochta hai, to dekhta hai ki uski biwi unki shaadi ki tasveer ko bade pyaar se saja rahi hoti hai. Ye dekhkar uska dil pighal jaata hai aur wo kuch nahi kehta.
Baad mein wo apni biwi ko mana leta hai ki duniya mein sirf wahi teen log bache hain, isliye abaadi badhane ke liye teeno ko saath rehna hoga. Hairaani ki baat ye hoti hai ki dono ladkiyan is baat ke liye raazi ho jaati hain.
Subahgraat ka din tay hota hai. Jaise hi sab kuch shuru hone wala hota hai, tabhi ek car aakar rukti hai aur usme se ek aadmi bahar nikalta hai.
Ab sawal ye hai ki kya aadmi ko apni khwahish poori karne ka mauka milega, ya phir wo ek baar phir pachtane wala hai?
Is suspense ka jawab jaanne ke liye The Last Man on Earth movie zaroor dekhiye.

Comments
Post a Comment