Virgin Students Par Khooni Hamle: Ant Tak Hila Dene Wali Horror Story
Kahani mein hota yeh hai ki Sagar, Surya Superstar iss actor ka die-hard fan hota hai. Uske liye Sagar kisi bhi had tak jaa sakta hai.
Ek din Surya apne gaav ke theatre ke malik ki beti Mahalaxmi ko usi ke theatre mein parde ke aage kiss karta hai.
Picture chal rahi hoti hai aur parde ke aage dono kiss karte hain. Film dekhne aayi audience ko bhi yeh dikh jaata hai aur Mahalaxmi ka baap bhi wahaan maujood hota hai.
Phir Sagar ko pakad kar Mahalaxmi ka baap aur uske aadmi use peet-te hain.
Image Credit: Andhra King Taluka (2025) – Mythri Movie Makers / T-Series
Sagar ko Mahalaxmi ka baap neecha dikhata hai aur kehta hai:
"Meri beti ko tu kahan rakhega? Gandi naali ke keede, apni aukaat mein reh!"
Yeh baat Sagar ke dil ko jhanjhor kar rakh deti hai aur woh thaan leta hai ki jab tak gaav mein Mahalaxmi naam se doosra theatre nahi bana leta, tab tak teri beti se shaadi nahi karega.
Theatre banane ke liye Sagar ko 3 crore rupaye ki zarurat hoti hai. Par uski jeb mein chavanni bhi nahi hoti.
Mahalaxmi, uski girlfriend, khud uske liye paison ka bandobast karte hue ghar se heere-jawahrat chura kar laati hai, par Sagar use nahi leta.
Woh kehta hai:
"Isse main duniya ki nazron mein aur tere baap ki nazron mein jeet to jaunga, par khud ki nazron mein haar jaunga. Mujhe apne dum par yeh kaam karna hai."
Sagar gehne lene se inkaar kar deta hai, jisse Mahalaxmi ke dil mein uske liye izzat aur bhi badh jaati hai.
Phir Sagar dimaag ke ghode daudate hue gaav ke beech nadi kinare khule mein theatre start kar deta hai.
Woh bada sa projector laga deta hai aur public bhi wahaan aane lagti hai, aur woh 20–25 lakh rupaye kama leta hai.
Yeh dekh kar Mahalaxmi ke baap ka theatre chalna kam ho jaata hai. Isliye woh gunde bhej kar Sagar ka beach wala theatre jala deta hai.
Jiske baad Sagar beach ki mitti khodta hai aur use 2000 quintal mein bech deta hai, jisse woh waqai mein karodpati ban jaata hai.
Woh gaav walon ko mitti khodne ke liye prerit karta hai aur is kaam se poore gaav ke kisan bhi ameer ho jaate hain.
Jaise-taise Sagar 3 crore rupaye kama leta hai aur apni girlfriend ke naam se gaav mein Mahalaxmi Theatre bana leta hai.
Lekin kahani mein yahin ek twist aata hai.
Surya Superstar ki film ke producers haath khade kar dete hain. Surya ke paas picture band karne ke alawa koi doosra raasta nahi hota.
Yeh baat jab Sagar ko pata chalti hai to woh Mahalaxmi Theatre ko uske baap ko 3 crore mein bech deta hai aur Mahalaxmi, apni girlfriend, ko chhod deta hai.
Aur poore 3 crore Surya ke account mein transfer kar deta hai.
Is tarah woh apna pyaar aur paisa, dono haar jaata hai.
Aage ki kahani behad hi dilchasp hai. Is film ka end aapko andar tak motivate kar dega. Aap kisi bhi situation se nikalne ka raasta talash loge.
Aapke andar kuch bhi restart karne ki urja paida ho jaayegi, agar aapko lag raha hai ki aap zindagi mein haar rahe hain.
Isliye is movie ko zaroor dekhein. Kya pata Sagar ki tarah aap bhi apni deewangi mein kuch aisa kar jao ki log aapko khona se darein.
Post achhi lagi ho to share karna na bhoolen.
Comments
Post a Comment